Mere Papa
Mere papa, jinhe duniya mei log bahut se naamo se jaante hai
koi pyaar se Rammu kehta hai to koi Atal ji to koi Gupta ji
hamare liye woh sirf papa heen nahi,
ek prerna hai, himmat hai, aur garv hai
aaiye aap sabka unse parichay karaate hai
bachpan mei ek shikayat thi
papa kabhi hamare kaam nahi karte, hamesha bolte jao aur khud karo
tab bada bura lagta tha, kyunki baaki sabke papa bolte the, beta hum kar dete hai
bahut baad mei samajh aaya woh hume zindagi ko khud se jeena seekha rahe the
papa, jinhone kabhi hamare liye koi faisla nahi liya,
hamesha ek heen baat boli, jo bhi karo sahi ya galat
hamesha hume bata k karna, aur tum hamesha hame apne saath paoge
mere papa, jinhe bina hame sulaye, bina amma ko sulaye neend nahi aati thi
jo hame kabhi raat bhar kisi dost ke ghar nahi jaane dete the
tab lagta tha ki kitne kathor hai woh
aaj samajh aaya ki woh hame rishte nibhaana seekha rahe the
mere papa, jo shayad kabhi kisi ke yaha bina bulaye nahi gaye
par jab bhi kisi ko zarurat padi, to sabse aage unko paya
fir koi chahe saath khada ho ya nahi
unhone kabhi sahi aur sach ko chodha nahi
fakr hota hai hume unpe, jab koi kehta hai
ki Gupta ji kisi ki sunte nahi
sach to yeh hai ki, Gupta ji sunte sabki hai
vichar sabki salaah pe karte hai
lekin faisla hamesha us par chodte hai
jiski zindagi pe sabse zyada asar hota hai
mere papa, jinhe bahut log jaaante hue bhi nahi jaante
ek baat un sabse kehni hai
Gupta ji bhale heen har kaam aakhiri samay pe karte hai
par jab woh karte hai to usse behtar kabhi kuch ho sakta nahi
aaj bhi yaad hai mujhe, jab school mei chart banana hota tha,
mere papa, raat bhar bhi jaagte hue apni sundar si likhai se awards dilwate the
kabhi aisa na hua aaj tak, ki kuch bola ho aur unhone kiya na ho
aur jab nahi bola tab bhi na jaane kaise unhe pata chal jata tha ki kya chahiye hume
mere papa, jinke kisse aur kahaniya kabhi khatam nahi hote
aaj zindagi k naye padav pe hai
aaj tak unhone na sirf naam kamaya, balki jo izzat kamai hai
usse hamari pehchaan hai
jab bhi hame zarurat padi,
tab aapne hame doobara chalna seekhaya
aapke diye hue nuskhe aur salaah
hame hamesha yaad rahenge
mere papa, ek aisi shaksiyat hai
jinhe aaj tak koi jaan na paya
yeh sochna waha se shuru karte hai
jaha duniya ki soch khatam hoti hai
isiliye mere papa, jab bhi kuch karte hai
woh sirf poora nahi, balki sarvshreth bhi hota hai